logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - imran mehdi - 2013

Roke sajjad ne zindaa'n mein sakina se kaha

Haye Sakina(sa).....(4)

Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2)
Neend kyu'n aati nahi..(2) Karti ho din raat buka

Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2)

1) Mai bada bhai hu samjho mujhe baba ki jagah.....(2)
Aao so jaao k..(2) haazir hai hamara seena

Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2)

2) Mai samajhta hu abhi zakhm hai kaano'n k hare.....(2)
Mere aansu tere..(2) zakhmo'n k liye honge dawa

Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2)

3) Manzar-e-shaam-e-ghareebaa'n se shab-e-zindaa'n tak.....(2)
Ek lamhe ko naa..(2) khola gaya rassi se gala

Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2)

4) Kaisa zindaa'n hai ujaalo'n se mulaaqaat nahi.....(2)
Meri pyaari teri..(2) qismat mein savera naa raha

Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2)

5) Pyaas ashkho'n se bujhaane se kahaa'n bujhti hai.....(2)
Khoon aankho'n se tapak..(2) ne laga ashko'n ki jagah

Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2)

6) Humko maalum hai bin tere watan jaana hai.....(2)
Alwida meri bahen..(2) binte Ghareebul ghuraba(as)

Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2)

7) Hathkadi bediyo'n aur tauq ki majburi hai.....(2)
Warna mai khaak pe tujh..(2) ko nahi sone deta

Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2)

8) Nauha "Imran" ye "Rehaan" ki bakhshish ka sabab.....(2)
Hashr mein kaise na ho..(2) sath hai Aabid(as) ki dua

Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2)

Haye Sakina(sa).....

HomebookmarkmybayaazSetting