Hussain (as) Ka Hai
Ishq mein rehta hai ye deewana Moula
Mushkil hai isko samjhna Moula
Yeh dil kisi ka nahi hai magar Hussain (A.S) ka hai
Hussain (A.S) rehta hai ismein, yeh ghar Hussain (A.S) ka hai
Batool (S.A) sajde mein hain mutazir musally par
Soye zameen yeh pehla safar Hussain (A.S) ka hai
Hazar sar hain namazon, jinhein bachati hain
Namaz ko jo bacha le, woh sar Hussain (A.S) ka hai
Farishtay khol ke mere kafan ko sochti hain
Nishan seene pe hoga agar Hussain (A.S) ka hai
Yazeediyat jo yeh ghungat nikale bethi hai
Khuda ka khauf nahi usko dar, Hussain (A.S) ka hai
Duayen dete hain Abbas (A.S) usko jeene ki
Har aik matami jo khoon mein tar, Hussain (A.S) ka hai
Bana de usko Mu’alla, Khuda pe wajib hai
Zameen-e-Karb o Bala se guzr, Hussain (A.S) ka hai
Woh pal rahi hai Risalat Hussain (A.S) ke ghar mein
Rasool jaisa hi dekho, pisar Hussain (A.S) ka hai
Saron ki bheer mein dekho woh zulm ke aage
Jhuka hua jo nahi hai, woh sar Hussain (A.S) ka hai
Khudaya, kon chukay ga roz-e-mehshar tak
Ke qarz itna tere deen par, Hussain (A.S) ka hai
Gunahgar ko Hur (A.S) jaisa mutabar kar de
Zamany bhar mein faqat yeh hunar Hussain (A.S) ka hai
Aman, Moazzam, Ali kar rahe hain jo midhat
Hamare lehja o fan mein asar Hussain (A.S) ka hai