logo

Bayaaz

donate usNotificationA

manqabat - mukhtar hussain - 2014

Ali Ali karke

Ali Ali Ali Ali 2

haideriyo kalandaram mastam banadaye murataza ali hastam - 2
peshwahe tamam rindanam ke sage kue shere yazdanam
hamara hai ye aqida ali ali kar ke 2
koi b mar nhi sakta 2
ali ali kar k............hamara hai aqida 2

jo kehna chahata hai dil wo bol deta hai
ali zuba ki girho ko khol deta hai
kalim bante hai musa 2
ali ali kar k.........hamara................2

teri b nind me saale salaat hojaye
tere liye shabe meraj raat hojaye
yakike farsh pe so jaa 2
ali ali kar k......hamara................2

wo na khudaye khudai dikhai deta hai
jaha b dekhu ali hi dikhai deta hai
nazar se uth gaya parda 2
ali ali kr k............hamara .............2

yaha pe aayega ek roz hum mezaj mera
ye kibriya ne barahim se kaha hoga
banao khanye kaba 2
ali ali kar k..............hamara..............2

zuba se baat kabhi dogli nhi karte
usul shia hai mohsin kushi nhi karte
khuda ko karte hai sajda 2
ali ali kar k............hamara............2

farazadar se dete hai ye sadaa meesam
shehed se sheeri hua zayka ali kasam
chakkha maza jo kaza ka 2
ali ali kar k................hamara..............2

ali k naam ne ye martaba mujhe baksha
ye raaz hazrate isa ne aashkaar kiya
me murde karta zinda 2
ali ali kar k........hamara................2

hayato maut k maa behen waqt hai kamtar
idhar udhar me na barbad sheh takkallum kar
ali k paas chala jaa 2
ali ali kar k..........hamara..............2
ali ali ali ali.........2

HomebookmarkmybayaazSetting