logo

Bayaaz

donate usNotificationA

manqabat - mukhtar hussain - 2014

Hussain aaj bhi hai

hussain aaj bhi hai 4

hai karbala ka ye dawa hussain aaj b hai 2
ye kisne kehdiya kal tha 2
hussain aaj bhi hai
hussain .............hai karbala.............hussain............

ye hurmizaj jise kehti hai majalise shabbir
bas k pal me badal jayegi teri takdeer
azaa k farsh pe aaja 2
hussain aaj bhi hai. 2
hussain...........hai............. hussain...............

karo hadise anamil hussain per b nazar
rasule paaak hai zinda ye mante ho agar
to phir ye maan na hoga 2
hussain aaj bhi hai
hussain......hai.............hussain.............

na naam lewa hai koi na hai nishane mazar
fanna yazid hua khatm hogaya darbar
magar hussain k jaisa 2
hussai aaj bhi hai
hussain............hai............hussain............

wo aur honge jinhe apni jaan hai pyari
kaza k khauf se kyu chhod de azadari
hai jab yakin hamara 2
hussain aaj bhi hai
hussain...............hai .................hussain...

chalo isme jo kabhi zuljanah aata hai
to iske chalne ka andaz ye batata hai
k jaise deen pe baitha 2
hussain aaj bhi hai
hussain............hai........hussain.......

shahadato k labo par hai shukriya zainab
na hoti tu to simat jati karbala zainab
tere wasile se zinda 2
hussain aaj b hai
hussain...........hai..........hussain...........

khudaya baaki hai ghaibat ka aur kitna safar
ye pucchti hai bahattar shahadate milkar
kaha hai teen saw tehra (313) 2
hussain aaj bhi hai
hussain.........hai.............hussain........

yazidiyat b larazti thi roze aaashura
sawa crore zamano pe ek naara tha
faza me gunj raha tha 2
hussain aaj bhi hai
hussain.........hai...........hussain..........

ye dawa thik hai mukhtar aur takkallum ka
zahur kayeme aale rasul jab hoga
kahega sara zamana 2
hussain aaj bhi hai
hussain...........hai...........hussain........

HomebookmarkmybayaazSetting