Aqd ummul banee'n se Ali ne kiya
jiske khatir wo shere jinaa aagaya
bol uthe Murtaza ye to Abbas hai
mere Shabbir ka qadrada'n aagaya
Khush hai Hasnain o Ummul baneen o Ali
khuld se Fatima ne bhi di tehniyat
Umme kulsoom o Zainab huwi sajda rez
unke sar par ek aur sayebaa'n aagaya
Warise Hamza o Jafar o Murtuza
ta qayamat alamdaar e fauj e khuda
azm o zabt o shaja'at, ita'at wafa
khidmat o isteqamat nishaa'n aagaya
Ambiya, awsiya, awliya..
sabka daaro madaar e baqa karbala
karbala jiski muddat se thi muntazir
wo mo'eene shahe bekasaa'n aagaya
Dastageeri karega aaj har ek ki
bawajud ye ke honge qalam uske haath
ek laqab jiska baab e hawaej bhi hai
wo mutee'e imam e zamaa'n aagaya
Jiteji wo raha bhukha pyaasa magar
uske sadqe pa palte hai jinno bashar
khadim e khaas jannat ke sardaar ka
abd e salih, jawan e jinaa'n aagaya
Alqama ghul bhi hai jiski zere qadam
har jagah jiska lehra raha hai alam
gharb uske qadam sharf jiski jabee'n
ronake mehfil e kunfakaa'n aagaya
Rok sakta hai nazro se lashkar ko jo
chheen sakta hai ghaat ek naize se wo
jisko baab e shahadat bhi ghaazi kahe
wo jawaan o jari, pehelwaa'n aagaya
Fatema ki amanat samajhkar mujhe
apni aaghosh mein qabr mein rakh liya
mujhse milne ko aaye Ali jab suna
mere Abbas ka mad'ha-khwaa'n aagaya
Sibte jafar jo tha aam sa aadmi
karte karte sanaye nabi o Ali
saaya e parchame maula Abbas mein
chalte chalte kaha'n se kaha'n aagaya