Khush Amdeed Ya Ali
Khuda Kay Ghar Jab Agaye
To Bola Kaba Dekh Kay
Main Kar Raha Tha Kab Se Intezar Apka
1) 13 Rajab Hai Jashan Manao Mola Ali Kay Dewano
Kon Hai Momin Kon Munafiq Nara Laga kar Pehchano
Lagao Nara Hydri
Halaliyoun Ke Hai Khushi
Jala Do Munkiron Ko Likh Kay Tum Jagha Jagha
2) Kaby Main Jab Aye Mohammad Dekha Ali Kay Ghar Main Ali
SubhanAllah MashAllah Kehtay Howy Pas Aye Nabi
Youn Aye Un Kay Hath Per
Ho Hamd Jesy Naat Per
Ali Ne Ankhain Kholi To Nabi Ne Yay Kaha
3) Khybar Main Jab Na Koi Bhe Marhab Se Lar Saka
Jibreel Ne Phir Aky Mohammad Se Yay Kaha
Allah Keh Raha Hai Usay Dejyay Sada
Is Din Kay Wastay Jisay Haider Kaha Gaya
Phir Youn Howa Kay Nad e Ali Lab Pe Agaye
Sowaye Madina Dekh Kay Kehny Lagy Nabi
Marhab Ko Pachar Ali
Khybar Ko Ukhar Ali
Main Ne Kab Se Nahi Suni
Teri Shair Se Dhar Ali
Koi Mard Nahi Marhab Se Kon Lary Ga
Mushkil Main Deen Hai Mera Ali Ajaa Ali
Ab Yay Alam Sirf Hai Tera
4) Sara Lashkar Dekh Raha Tha Sowaye Madina Khybar Se
Lakin Ek Salman Tha Un Main Waqif Tha Jo Haider Say
Wo Keh Raha Tha Shan Se
Wo Aye Asman Se
Falak Se Ap Ayin Gay Mujhe Yaqeen Tha
Khush Amdeed Ya Ali
5) Istaqbal Ke Saf Main Kharay Hain Arsh O Zameen Waly Mil Kar
Pohnchi Jab Barat Ali Ke Zehra Kay Darwazay Per
Jabeen Pe Sehra Bandh Kay
Nabi Say Akay Jab Milay
Galy Laga Kay Muskura Kay Boly Mustafa
Khush Amdeed Ya Ali
6) Ali Wali Ke Mohabbat Khuda Ke Rehmat Hai
Mohib e Mola Pe Rehmat Zaroor Barsay Ge
Wo Jis Kay Dil Main Adawat Hai Mery Mola Ke
Bus Aysy Shakhs Pe Lanat Zaroor Barsay Ge
7) Khushiyan Ali Walon Ko Mubarak Unko Mubarak Lanat Ho
Haider Ke To Baat Alag Hai Jalne Walon Se Keh Do
Buland He Buland Hai
Mujhe Bohat Pasand Hai
Ali Ka Dil Pe Raaj Hai To Kyun Na Do Sada
8) Ishq e Ali Ke Mohar Lagi Hai Dil Per Aye Zeeshan O Raza
Qabar Main Hum Ko Kesi Wehshat Kesa Dar Or Kesi Saza
Main Janta Hon Ayin Gy
Naqab Jab Hatain Gay
Ali Ko Dekhtay He Bol Uthay Ga Dil Mera