logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - ali safdar - 2012

Aey Mere Jawan Qasim

Haye Qasim
Haye Haye Qasim x3



Mola Ki Sada Gunji Aey Mere Jawan Qasim x2



Milta Hi Nahin Tere Lashey Ka Nishan Qasim
Mola Ki Sada Gunji Aey Mere Jawan Qasim x2



Kamsin Hai Magar Shairon Jaisa Hai Jigar Iska
Sardar-e-Jawananein Janat Hai Padar Iska
Kaise Ho Bhala Teirey Ausaf Bayan Qasim



Mola Ki Sada Gunji Aey Mere Jawan Qasim x2



Seene Se Lagate Hein Rotey Huey Kehte Hein
Aey Laal Mere Qasim Ruksat Tumhein Karte Hein
Dhondon Gha Bhala Tumko Abb Jake Kahan Qasim



Mola Ki Sada Gunji Aey Mere Jawan Qasim x2



Ruksat Huey Madar Se Bahenon Se Duaein Lin
Iss Chand Se Chehre Ki Zainab Ne Balayein Lin
Kho Jao Ghe Nazro Se Abb Tum Bhi Haan Qasim



Mola Ki Sada Gunji Aey Mere Jawan Qasim x2



Maidan Mai Aatey Hi Adaa Ko Pukara Hai
Laila Ne Hassan Ka Hon Haider Mera Dada Hai
Abbass Jari Ki Hon Mai Rooh-e-Rawan Qasim



Mola Ki Sada Gunji Aey Mere Jawan Qasim x2


Tum Sab Ko Bana Kar Don Hasrat Hai Mere Dil Mai
Aarzaq Bhi Agar Aya Phir Mere Muqabil Mai
Kar Dei Gha Usse Pal Mai Bedag o Nishan Qasim



Mola Ki Sada Gunji Aey Mere Jawan Qasim x2



Aarzaq Bhi Gaya Hara Bheitey Bhi Gaye Mare
Shabbir Pukar Uthe Shabash Mere Pyarey
Tou Mera Dilawar Hai Tou Hai Meri Jaan Qasim



Mola Ki Sada Gunji Aey Mere Jawan Qasim x2



Challi Hua Teeron Se Masooom Sa Shehzada
Pora Kiya Qasim Ne Baba Se Kiya Wada
Atey Hein Wahan Mola Girte Hein Jahan Qasim



Mola Ki Sada Gunji Aey Mere Jawan Qasim x2


Bikhrey Hue Kuch Tukrey Maidan Se Uthatey Hein
Youn Lashey E Qasim Ki Gatli Si Banatein Hein
Seh Paye Ghi Ghaam Tera Kaise Teri Maa Qasim



Mola Ki Sada Gunji Aey Mere Jawan Qasim x2



Mataam Ki Sadaein Hein Kohram Qayamat kA
Noha Jo Safar Ne Likha Qasim Ki Shahadat Ka
Har Fard Hai Majlis Mai Ab Girya Kuna Qasim



Mola Ki Sada Gunji Aey Mere Jawan Qasim x2


HomebookmarkmybayaazSetting