logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - ameer hassan amir - 2016

Baap ke sog mein

BAAP KE SOG ME CHALEES BARAS ROYE HAI
AAJ SAJJAD HAMESHA KE LEYE SOYE HAI

1-KABHI KOSHISH BHI AGAR KARTE THE SO JANE KI
KOI TASVEER UBHER AATI THI TARPANE KI
GONJNE LAGTE THI KAANO ME SAKINA KI SADA’N

2-SAMNE JAB BHI WAZU KE LEYE AAYA PANI
ROKE KAHTE THE KE BABA NE NA PAYA PANI
DIL SULAG JATA THA AUR SAASO SE UTHA THA DHUAA’N

3-SHAAMO KHOFA KI WHO TASWEER BHULAYI NA GAYI
UMR BHAR PAAON KI BHULAYI NA GAYI
MARTE DAM TAK NA GAYE PUSHT SE DURRON KE NISHA’N

4- PHOOT KAR RAHE PAAON KE CHALEY HAR DUM
RAHE PUR KHAAR PE BHADTEY HI RAHE HAYE QADAM
EK PAL KO BHI MAYASSAR HUA ARAAM KHA’N

5-HAR GHARI HONTON PE NOHA YEH RAHA HAYE HUSSAIN
AKHARI SAAS BHI AAYI TOH KAHA HAYE HUSSAIN
YAAD ME BABA KI DUNIYA SE GAYE TASHNA DAHA’N

6-KHUL GAYA TAOQ MAGAR DARD KI SHIDDAT NA GAYI
BEDHIYA KHUL KE BHI ZAKHMO KI AZIYAT NA GAYI
PAYE EHSAAS ME JAKHDI RAHI ZANJEER E GIRA’N

7-GHAR SE JAB AABID E MUZTAR KA JANAZA NIKLA
SOGWARO KI ZUBANO SE YEH NAUHA NIKLA AAMIR O
FAKHRI MADINE ME THI YEH AAHO FOGHA’N


HomebookmarkmybayaazSetting