logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - busheri - 1990

Ya ali ya ayliya ya

Shame Ghareeban



Ya Ali Un Ya Ali Un Ya Ali Un Ya Ali







Ya Ali Ya Aeliya Ya Bu Al Hassani Ya Bu Turab

Bhai Mera Qatl Hua Aaiye Baba Shitab

Bu Hasan Ya Bu Turab



Ya Ali Ya Aeliya Ya Bu Al Hasani Ya Bu Turab



Lo Phail Gya Shame Ghareeban Ka Andhera

Asbab Luta Jal Gya Sadaat Ka Khaima

Bay Goro Kafan Ran Mein Hai Shabbir Ka Lasha

Sab Maray Gaye Dasht Mein Zainab Hui Tanha

Asghar E Bay Sheer Ko Rone Lagi Umme Rubab

Hasani Ya Bu Turab



Ya Ali Ya Aeliya Ya Bu Al Hasani Ya Bu Turab

Bhai Mera Qatl Hua Aaiye Baba Shitab

Hasani Ya Bu Turab



Haye Woh Behan Jis Ky Hon Athara (18) Baradar

Aur Baap Bhi Jis Beti Ka Ho Fatah E Khaibar

Narghay Mein Layeenon Ky Woh Mazloom Khulay Sar

Kaisy Na Kary Noha Woh Phir Khak Urha Kar

Noha Kunaan Khuld Mein Hai Rooh E Raisalat Ma’aab

Hasani Ya Bu Turab



Ya Ali Ya Aeliya Ya Bu Al Hasani Ya Bu Turab

Bhai Mera Qatl Hua Aaiye Baba Shitab

Hasani Ya Bu Turab



Akbar Ka Jigar Ho Gaya Barchi Sy Do Paara

Aur Asghar E Masoom Bhi Maara Gaya Pyasa

Tukrhy Hua Maidan Mein No Shah Ka Lasha

Maara Gaya Woh Shair Jo Tha Sab Ka Sahara

Aon O Muhammad Ka Mila Khak Mein Kaisa Shabab

Hasani Ya Bu Turab



Ya Ali Ya Aeliya Ya Bu Al Hasani Ya Bu Turab

Bhai Mera Qatl Hua Aaiye Baba Shitab

Hasani Ya Bu Turab



Kat Ky Jo Giray Khak Py Abbas Ky Bazu

Rukty Hi Na Thy Aankh Mein Shabbir Ky Aansoo

Main Khaimay Mein Roti Thi, Wo Roty Thy Labe Joo

Matam Hi Tha Matam Hi Tha Matam Hi Tha Har Soo

Kehty Thy Shabbir Ky Ya Laitani Kunto Turab

Hasani Ya Bu Turab



Ya Ali Ya Aeliya Ya Bu Al Hasani Ya Bu Turab

Bhai Mera Qatl Hua Aaiye Baba Shitab

Hasani Ya Bu Turab



Rehan Bahut Ho Chuki Ab Ashk Fishani

Zainab Py Museebat Ki Yeh Pur Dard Kahani

Sab Ahl E Aza Sun Chuky Sarwar Ki Zubani

Thamti Hi Nahi Aankhon Sy Ashkon Ki Rawaani

Kon Suny Qissa E Gham Kis Mein Rahi Itni Taab

Hasani Ya Bu Turab



Ya Ali Ya Aeliya Ya Bu Al Hasani Ya Bu Turab

Bhai Mera Qatl Hua Aaiye Baba Shitab

Hasani Ya Bu Turab


HomebookmarkmybayaazSetting