logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - busheri - 2014

HAAE SAANIYE ZEHRA, HAAE SAANIYE ZEHRA

HAAE SAANIYE ZEHRA, HAAE SAANIYE ZEHRA



TU SHABIHE HAIDER THI, TU HAI SAANIYE ZEHRA

TERA NOOR THA NOORE JAAWEDAANIY-E-ZEHRA

WO ZABAAN PAR TERI KHUSHBAYAANI-E-ZEHRA

TERI ZINDAGAANI THI, ZINDAGAANIY-E-ZEHRA

HAAE SAANIYE ZEHRA, HAAE SAANIYE ZEHRA



TERI GOD KE PAALE RAN ME KAAM AAE HAI

REHKE TEEN DIN PYAASE KHOON ME NAHAAE HAI

SABR ZAPT KE TOONE RAASTE DIKHAAE HAI

KITNE ZAKHM KHAAE KITNE DAAG UTHAAE HAI



ZERE TEG BHAI KO KHUD BA CHASHME TAR DEKHAA

SAR ANI PE NEZE KI JISM KHAAK PAR DEKHAA

TEKHNA NAA THA LEKIN DIL KO THAAM KAR DEKHAA

SAB HI DUSHMANE JAA THE JAB IDHAR UDHAR DEKHAA



TUJHPE SHAAM WAALO NE KIS KADAR SITAM TODE

REESMAA KI WO SAKHTI AUR ZULM KE KODE

TERE DASTE BAAZU PAR QAYD KE NISHAA CHODHE

UMR BHAR RAHI HAI TU ZINDAGI SE MOO MODHE



TEEN DIN KIYA MAATAM TEEN DIN MAJLIS KI

DOOBNE LAGI NAFZE KYA ANOKHI MAJLIS KI

LEKE SAR SHAHEEDO KE MAJLIS AYSI MAJLIS KI

KHUD YAZEED KE GHAR ME TOONE PEHLI MAJLIS KI



TERE GAM NE PAIDA KI GAM KI EK NAEE DUNIYA

SABR SHUKR KA AALAM ASHKO AAH KI DUNIYA

ZULMO JAUR PAR APNE KAAP KAAP UTHI DUNIYA

DEKH KAR TERE AASOO KHUD HI RO PADI DUNIYA

HomebookmarkmybayaazSetting