logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - irfan haider - 2001

Hay kasim jag zara

Hay kasim jag zara

Hai Kassim jag zara. Mera Pyare jag zara

Teri Mehndi , tera upton, tera gehna
Ha tera sehra Zainab layee hai

Hai Bain kare Farwa Hai Kassim jag zara. Mere Pyare jag zara

Teri Mehndi Khuld se Aayee hai
Poshak naye banwaee hai

Teri sej sajaye, Wawaila

Teri Rasm Himaee, Wawaila

Teri Mehndi , tera upton, tera gehna

Teri Behne shakan manati hai
Aur Neg wo lene aati hai

Abbas Dilawar, Wawaila

Maidan me kausar, Wawaila

Teri Mehndi , tera upton, tera gehna

Jannat se guletar Aaye hain
Poshak Abuzar Laye Hain

Aur pahen ke dulha, Wawaila

Poshak aur kangan, wawaila

Teri Mehndi , tera upton, tera gehna

Sab hur aur farishte aayenge
Rizwan kaside sunayenge

Sab khuld ke vaasi, wawaila

Hai tere barati, wawaila

Teri Mehndi , tera upton, tera gehna

Tera sehra sunate hai shabbar
Mashnad ko bichate hai kambar

Teri sej urusi, wawaila

Har garne sajayi wawaila

Teri Mehndi , tera upton, tera gehna

Kulsum aur fizza aayi hai
Do salah banakar layi hai

Abbase dilawar, wawaila

Maidane kausar, wawaila

Teri Mehndi , tera upton, tera gehna

Phir khwaab yeh toota farwa ka
Aur peshe nazar ek laasha tha

Na mehndi uptan wawaila

Na masnad dulhan, wawaila

Teri Mehndi , tera upton, tera gehna

HomebookmarkmybayaazSetting