logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - irfan haider - 2008

Khuda Hafiz-o-Nasir

Khuda Hafiz-o-Nasir

Khuda Hafiz-o-Nasir, Khuda Hafiz-o-Nasir

Khuda Hafiz-o-Nasir

(Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna) x2

(Zindagi Rahi Toh Phir Milenge) x2

Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Waise Bhi Ab Iss Duniya Mai Jine Ka Mazaa Kya
(Hamshakle Payamber Hai Na Abbas Hai Mera) x2

Rukhsat Karo Shabbir Ko Ye Kehke Khudaara

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Dil Sine Mai Betaab Hai Aur Lab Pe Bukaa Hai
(Iss Dasht Mai Ab Tera Nigehbaan Khuda Hai) x2

Yeh Sochke Maqtal Ko Chalaa Bhai Tumhara

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Logo Ne Hamei(n) Lutliya Ghar Se Bulaakar
(Baitha Hu Abhi Laashon Se Maqtal Ko Sajaakar) x2

Allah Se Ummeed Rakho Ay Meri Behna

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Har Gaam Pe Yeh Jumla Tumhe Honsla Degaa
(Jab Ahmed-e-Mursal Na Rahe Kaun Rahega) x2

Mat Girya Karo Degi Yehi Baat Sahara

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Padh Naade Ali Bhai Pe Rone Ke Bajaaye
(Takte Hai Meri Raah Wahaa(n) Mawt Ke Saaye) x2

Yeh Kehte Huwe Rota Hai Mera Bhi Kaleja

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Tum Qaatib-e-Taqdeer Se Shikwa Nahi Karna
(Ham Ghar Se Chale jaaye Toh Girya Nahin Karna) x2

Bas Marzi-e-Maabud Pe Imaan Hai Apna

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Woh Aun-o-Muhammed Ho Ya Abbas Ya Akber
(Qasim Sa Hasee(n) Phul Ke Hurr Jaisa Dilawer) x2

Har Eik Ko Yeh Kehke Tere Bhai Ne Bhejaa

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Kulsum Ko Kubra Ko Lo Baba Ko Sambhaalo
(Roro ke Na Marjaaye Sakina Ko Sambhaalo) x2

Yeh Keh Toh Diya Usne Sidhaaro Mere Baba

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Kuch Der Huwi Tumne Toh Dekha Tha Yeh Manzar
(Hamshir Se Yeh Kehke Chalaa Tha Ali-Asgher) x2

Mai Nusrate Shabbir Ko Jaata Hu(n) Sakina

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Ay Kaash Yeh Din Hamko Bhi Dikhlaaye Muqaddar
(Ho "Mazhar-o-Irfan" Bhi Qabre Shah-e-dee(n) Par) x2

Aur Jaate Huwe Hamse Kahe Zehra Ka Beta

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

HomebookmarkmybayaazSetting