logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - irfan haider - 2009

Mera ghazi na jaane kahaan he

Mera ghazi na jaane kahaan he

Jab huwe maqtool ghazi, Zulm ki shamsheer se
marsiya nikla tha logo, Ye dil-e-shabbir se
Nau shabein jaaga huwa tha, Paasbaane ehle bayt
Sogaya pehra badal kar, Zainabe dilgeer se

Ye sada barsare karbala hai
(Mera ghazi na jaane kahaan hai) x2
Ye sada barsare karbala he

Suna ban he sitamgar hai ye shab
(Pehra deti he khaimon ka Zainab) x2
Phir bhi hoton pe ye marsiya he
(Mera ghazi na jaane kahaan he) x2
Ye sada barsare karbala he

Sabr kaise kare ab Sakina
(Pyaas karti he dushwaar jeena) x2
Khushk hoton pe bas ye buka he

(Mera ghazi na jaane kahaan he) x2
Ye sada barsare karbala he

Janibe khaima aata he lashkar
(Ye na ho shimr le jaaye chaadar) x2
Bibi Kulsum ki ye sada he

(Mera ghazi na jaane kahaan he) x2
Ye sada barsare karbala he

Kya kahe kis tarah de dilase
(Mar na jaayein tarap kar ye pyaase) x2
Nawha khwaan binte khairun nisa he
(Mera ghazi na jaane kahaan he) x2
Ye sada barsare karbala he

Bibi fizza ye karti he ye naale
(Koi mushkil kusha ko bulale) x2
Zulm ki zad pe ale aba he
(Mera ghazi na jaane kahaan he) x2
Ye sada barsare karbala he

Shor utha who aaye sitamgar
(Chhin gayin chadarein aur jala ghar) x2
Ek ik bibi mehwe buka he

(Mera ghazi na jaane kahaan he) x2
Ye sada barsare karbala he

Bain karti he zainab ye rokar
(Ek neze pe he bhai ka sar) x2
Ek neze pe meri rida he

(Mera ghazi na jaane kahaan he) x2
Ye sada barsare karbala he

Lut gaye jab haram aaye haider
(Baap se boli Zainab ye ro kar) x2
Dekho ujri huwi karbala he

(Mera ghazi na jaane kahaan he) x2
Ye sada barsare karbala he

Aise "irfan-o-mazhar" buka ho
(Nawha khwani ka haq to ada ho) x2
Jab ke misra ye khud marsiya he

(Mera ghazi na jaane kahaan he) x2
Ye sada barsare karbala he

HomebookmarkmybayaazSetting