logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - irfan haider - 2009

Sakina Ka Janaza

Sakina Ka Janaza

Hai bekasi sajjad ki

Ehsaas huwa jab ke qaza kargai sakina

Hasrat se bandhe hathon ko mein dekh raha tha

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

Sajjad ka zindaane sitam mein tha ye nawha

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

Faqon pe basar karta raha mein nahin roya
Kanton pe safar karta raha mein nahin roya

Is gham ne mujhe ankhon se haye khun rulaya

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

Pathrayi huwi ankhon ne mujhko ye khabar di
Ehsaas huwa jab ke qaza kargayi bachhi

Hasrat se bandhe hathon ko mein dekh raha tha

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

Taqdeer ne ay baba sitam kaisa kiya he
Maut aane se pehle hi mujhe maar diya he

Zindaan mein aakar mujhe batlaao khudara

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

Hei(n) beriya(n) pero(n) mei(n) magar dil he giraftar
ye kaisi ghari ayi imamat huwi lachaar

Ejaze imamat na dikhau(n) to karu(n) kya

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

Na taaqti aisi he ke chalne nahi(n) deti
Zainab ne kaha uspe ye zanjeer he bhari

Sajjad sambhalu(n) mei(n) tujhe ya mere beta

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

Chipka tha badan se jo wohi kurta kafan he
Ye soch ke khun rota ye mehroome watan he

Kis tarah sakina ko yahaa(n) dafn karunga

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

Is bachhi ne ghurbat mei(n) bohot saath diya tha
Peene ko mila pani to zanjeero(n) pe dala

Afsos ke mei(n) uski madad kar nahi(n) paya

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

Zanjeer bhi he nawha kuna mein bhi haram bhi
Zindan mein he masroofe fugha mein bhi haram bhi

Is manzare ghamnaak pe sab karte hei(n) girya

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

"Irfan-e-aza" tera har ek lafz he "mazhar"
Phir bhi tu raqam kar nahin paya he who manzar

Ye baat he sajjad ke nawhe ka khulasa

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

(Hai bekasi sajjad ki)x3

HomebookmarkmybayaazSetting