logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - irfan haider - 2024

Aaiye Mola Wasta Hai Shaam Wali Shahzadi Ka Aaiye Mola

Ya Molana Ya Sahibaz Zaman
Al Ghos Al Ghos Al Ghos Adrikni
Ya Sahibaz Zaman

Wasta Hai Shaam Wali Shahzadi Ka Aaiye Mola

Ap Ke Hai Sath Ham Ko Karbala Jana Aaiye Mola
Wasta Hai Shaam Wali Shahzadi Ka Aaiye Mola

Sunat e Sajjad or Zainab Ada Karte Huwe
Jayen Ge Paidel Najaf Se Karbala Chalte Huwe
Bas Yehi Arman e Dill Hai Har Hussaini Ka Aaiye Mola
Wasta Hai Shaam Wali Shahzadi Ka Aaiye Mola

Sar Khule Jis Ko Phiraya Shaam Ke Bazar Main
Haye Wo Jis Ko Bulaya Be Rida Darbar Mein
Han Ussi Zainab Ka A Kar Lijiye Pursa Aaiye Mola
Wasta Hai Shaam Wali Shahzadi Ka Aaiye Mola

Intezaar Ab Bhi Wo Karti Hai Ke Akbar Aayen Ge
Or Mujhe Bhi Sath Apne Karbala Le Jayen Ge
Khatam Ho Ab Intezar Ae Fatima Sughra Aaiye Mola
Wasta Hai Shaam Wali Shahzadi Ka Aaiye Mola

Ap Ko Uss Chhe (6) Mahine Ke Sipahi Ki Qasm
Muskura Kar Jiss Ne Khaya Halk Par Teer e Sitam
Chahiye Phir Deen Ko Be Sheer ka Sadqa Aaiye Mola
Wasta Hai Shaam Wali Shahzadi Ka Aaiye Mola

Al-Ajal Al-Ajal Al-Ajal Al-Ajal
Mola Aa Bhi Jaa Parda e Ghaibat Se Zamane Ke Imam
Tujh Se Mimber Pe Tere Jad Ki Kahani Sun Len
Ham Azadaron Ki Bas Aakhri Hasrat Hai Yehi
Noha Zehra Ka Bas Ik Teri Zubani Sun Len

Ghar Jalaya Dar Giraya Pasliyan Zakhmi Huwin
Hogaye Mohsin Shaheed Or Gham Zada Bibi Huwin
Dushman e Zehra Se Aa Kar Lejiye Badla Aaiye Mola
Wasta Hai Shaam Wali Shahzadi Ka Aaiye Mola

Ap Ko Us Char (4) Saala Syeda Ka Wasta
Jiss Ke Kaano Chhine Gohar Lahu Behta Raha
Kam Na Hoga Ap Ke Bin Gham Sakina Ka Aaiye Mola
Wasta Hai Shaam Wali Shahzadi Ka Aaiye Mola

Aaj Bhi Hai Qabar E Zehra Dhop Mein Tuti Huwi
Hai Dua Zeeshan Or Irfan e Aza Lab Par Yehi
Kijiye Tameer aa Kar Raza e Zehra Aaiye Mola
Wasta Hai Shaam Wali Shahzadi Ka Aaiye Mola

HomebookmarkmybayaazSetting