logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - irfan haider - 2024

Kon Roke Ga Ye Azadari

Matam Ye Hota Tha
Matam Ye Hona Hai
Ham Sheh Ke Gham Khar Hain
Mola Ke Matam Pe Aaqa Ke Matam Pe
Marne Ko Tyar Hain

Rab Ka Wadah Hai Yeh Azadari
Kon Roke Ga Ye Azadari

Chand Mah e Azza Ka Aaya Nazar
Kale Parcham Lage Hain Har Ghar Par
Jante Hain Tamam Jin o Bashar
Kam Iss Se Nahi Koi Behtar
Nahi Karte Hain Hum, Yeh Dunya Ka Gham
Hain Aanso Rawaan, Utha Kar Alam
Kam Pehla Hai Yeh Azadari
Kon Roke Ga Ye Azadari

Jab Sajate Hain Hum Azakhana
Oss Mein Rakhte Hain Baliyaan Jhola
Mehndi Rakhte Hain Our Ik Kangna
Kuch Alam Our Sath Mein Sehra
Aye Ahl e Azza, Yaqeen Hai Mera
Ghar Aaeingi Ab, Mere Syeda
Izn e Zahra Hai Yeh Azadari
Kon Roke Ga Ye Azadari

Rab Ka Wadah Hai Yeh Azadari
Kon Roke Ga Ye Azadari

Har Gali Mein Sabeel Hai Jo Lagi
Yeh Duaein Hain Mashk Wali Ki
Tere Sadqe Mein Aye Meri BiBi
Aaj Pyasa Nahi Hai Koi Bhi
Alam Ki Qasam, Karam Hai Karam
Ye Daman Kabhi, Na Chhorein Ge Hum

Shama Se Shama Jale Silsila Jari Rahen
Hum Rahein Ya Na Rahein Ye Azadari Rahe
Farz Apna Hai Ye Azadari
Kon Roke Ga Ye Azadari (Irfan Haider)

Hussain Tera Gham Na Ye Hoga Kam
Hai Rab Ki Qasam Na Bholen Ge Ham

Aath (8) Aati Hai Jab Muharram Ki
Maein Bachoon Ko Karti Hain Girvi
Unn Ko Pehnati Hain Hari Kafni
Bache Karte Hain Sare Saqayi
Na Khof o Khatar, Na Dunya Ka Dar
Nikalte Hain Sab, Kafan Orh Kar
Aaisa Jazba Hai Yeh Azadari
Kon Roke Ga Ye Azadari

Rab Ka Wadah Hai Yeh Azadari
Kon Roke Ga Ye Azadari

Aaj Wajib Hai Kal Bhi Wajib Tha
Hai Ye Matam Bhi Ik Namaz e Azza
Aag Our Khon Se Hain Karte Ada
Munh Pe Karte Hain Hath Se Pursa
Chale Khoon Mein Tar, Aye Sheh Ke Pisar
Humein Yaad Hai Tumhara Safar
Tham Kar Ye Alam Barhte Jaein Qadam
Dil Mein Ho Sheh Ka Gham
Apna Wirsa Hai Ye Azadari
Kon Roke Ga Ye Azadari

Kijiye Nojawan Ka Matam
Teer Ka Our Kaman Ka Matam
Haye Sokhi Zaban Ka Matam
Shah Ke Khandan Ka Matam
Kahin Nojawaan, Kahin Be Zabaan
Diya Shah Ne, Ajab Imtehaan
Lash Uthana Hai Yeh Azadari
Kon Roke Ga Ye Azadari

Rab Ka Wadah Hai Yeh Azadari
Kon Roke Ga Ye Azadari

Jalta Sehra Tha Aik Pyasa Tha
Kund Khanjar Gale Pe Chalta Tha
Khon Sokhi Ragoon Se Behta Tha
Khak Par Ayediyaan Ragarta Tha
Woh Pyasa Raha, Na Pani Mila
Woh Sokha Howa, Gala Kat Gaya
Oss Pe Rona Hai Ye Azadari
Kon Roke Ga Ye Azadari

Rab Ka Wadah Hai Yeh Azadari
Kon Roke Ga Ye Azadari

Arsalan Azmi Khuda Ki Qasam
Mujh Pe Hai BiBi Syeda Ka Karam
Chalta Rehta Hai Jo Yeh Mera Qalam
Nohe Karta Rahon Ga Younhi Raqam
Mera Farz Hai, Bada Qarz Hai
Karam Ho Younhi, Yehi Arz Hai
Mera Likhna Hai Yeh Azadari
Kon Roke Ga Ye Azadari

Rab Ka Wadah Hai Yeh Azadari
Kon Roke Ga Ye Azadari

HomebookmarkmybayaazSetting