rakna meri amma se mera zakhm chupa kar
baba mere seene may sina toot gayi hai
seene pe rakha haath hataya nahi jaata
wo dard hai seene may bataya nahi jaata
aur pyaas se aati hai meri jaan labon par
baba mere seene may...
khud aap wali ibne wali hai mere baba
wallah zamane ke ali hai mere baba
kis tarha se taazeem karoo aap ki uth kar
baba mere seene may...
us ko mere aa jaane ki umeed badi hai
jeene ki dua usne mujhe khat may likhi hai
sughra se ye kehna ke miloonga labe kausar
baba mere seene may...
armaan tha zainab ka banaati mujhe dulha
ab dekhengi sehre ki jagah khoon bhara chehra
dekha mujhe aise to na mar jaye tadap kar
baba mere seene may...
dekhe se mujhe yaad tumhe aate thay nana
ab aakhri ye tum se mulaqaat hai baba
mil jayegi matti may ye tasveer e payambar
baba mere seene may...
is zakhm ke upar mai naye zakhm bhi khaa loo
jaan apni fida kar ke shahe deen ko bacha loo
ye dil ki tamanna thi magar haye muqaddar
baba mere seene may...
akbar ne raza apne padar se ye kaha tha
sau baar mai ho jaata fida e shahe waala
gham iska rulaata hai mujhe sibte payambar
baba mere seene may...