chehra na tera saamne gar paungi baba
tareeki e zindan may ghabraungi baba
darti hoo andhere may nazar kuch nahi aata
dewaaron se takrati hoo mar jaungi baba
dekha na sakina ne zindan may savera hai
mai kya bataun baba yahan kitna andhera hai
har roz maarte hai mujhko tamache zaalim
teri laadli ka baba zakhmi hua chehra hai
dekha na sakina ne...
pabandi hai rone pe mai bain karoo kaise
akbar ke qaatilon ne zindan ko ghera hai
dekha na sakina ne...
hota nahi guzar bhi zindan se hawa ka
gardan may tang rasan hai dam ghut raha mera hai
dekha na sakina ne...
sajjad ke seene pe mai kis tarha so jaaun
bhai ka paak seena zanjeeron ne ghera hai
dekha na sakina ne...
asghar ka khoon bhara wo kurta nahi mai bhooli
aur yaad mujhko baba qasim ka wo sehra hai
dekha na sakina ne...
tere galay ko zakhmi khanjar ne kiya baba
rassiyon se gala zakhmi ab hogaya mera hai
dekha na sakina ne...
pyasa zibha kiya hai in zaalimon ne tujhko
mai bhi rahungi pyasi ab waada ye mera hai
dekha na sakina ne...
salman poochti thi baba se ye sakina
mujhse bhi zyada zakhmi kyun aap ka chehra hai
dekha na sakina ne...