logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - mir hasan mir - 2007

Bazaar mei bint-e-Ali Deti Thi Sadaa Bhai Abbas Kahaan Ho

Bazaar mei bint-e-Ali

(Aina Akhi Abbas) x 4

(Bazaar Mai Binte-Ali Deti Thi Sadaa Bhai Abbas Kahaan Ho) x 2

(Sar Par Bhi Nahi Chaadar) x 2 Laakhon Hai Tamashaai
Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4

Is Aalam-e-Ghurbat Mai Koi Bhi Nahi Meraa,
Hai Khaake Safar Sar Par Aur Haath Rasan Bastaa,

Pardes Mai Zainab Ko Taqdeer Kahaan Laayi

Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4

Paivast Hai Neze Mai Sar Shaahe Shahidaan Ka,
Yeh Dekh Ke Ai Ghaazi Phat-taa Hai Mera Sina,

Marjaaegi Is Gham Mai, Shabbir Ki Majaayee

Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4

Dariyaa Ke Kanaare Tum Aadaa Se Gaye Larne,
Sab Dekh Rahi Thi Mai Darvaaza-e-Khaima Se,

Ab Jung Hamaari Bhi Dekho To Zaraa Bhai

Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4

Duniyo Ka Sahara Hai Baba Jo Hamaraa Hai,
Mushkil Mai Magar Maine Tumko Hi Pukaara Hai,

Ab Dhundhti Hai Tumko Bhayya Meri Binaai

Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4

Be Munis-o-Yawar Hai Batlaawo Kidhar Jaaye,
Is Tarha To Jine se Behtar Hai Ke Marjaaye,

Fariyaad Kare Kisse Hoti Nahi Sunwaayi

Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4

Ai Sher Yehi Meri Imdaad Ko Aajaao
Maanga Hai Kanizi Mai Zaalim Ne Sakina Ko

Hai Waqt Qayamat Ka Maasum Hai Ghabraayi

Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4

Ahmed Ki Nawaasi Ka "Yassir" Yehi Nauha Thaa
Na Bhaai Bache Mere Na Koi Bachaa Beta

Ab Jiike Karungi Kya Gar Maut Nahi Aayi

Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4

HomebookmarkmybayaazSetting