logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - mir hasan mir - 2007

Bhayya ghareeb

Bhayya ghareeb

(Ay Mere Bhai Hussain) x4

(Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi) x3

Lash-e-Hussain par hai, Zainab ki ye duhaayi
(Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi) x2

Misl-e-Batool haq se mehroom hu mei ab tak
Shabbir tere gham mei, maghmoom hu mei ab tak

Tarpa rahi hai mujhko, Abbas ki judaayi

Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2

Afsos ke Sakina, nazo(n) se jo pali hai
Jo tum ko yaad karke, zindaa mei chalbasi hai

Usko mili na bhayya, zindaan se rihaayi

Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2

Ham par sitam ay bhayya, dhate rahe sitamghar
Sayyedaniyo(n) ke sar mei, ati thi khaak urhkar

Bazaar ka wo manzar, Zainab na bhool paayi

Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2

Baalo(n) se mu(n) chupa kar, bazaar mei gayi thi
Narghe mei ashkiya(n) ke, beparda mei khari thi

Guzri hai kya behen par, kaise batawu bhaayi

Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2

Sajjad ke ye dil par, dushwaar marhala tha
Zanjeer ko sambhaale, beemar ro raha tha

Aal-e-nabi khule sar, darbar mei jo ayi

Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2

Sabse bari musibat, kya hai kisi ne poocha
Beemar sar jhuka kar, rote huwe ye bola

Behno(n) ko shaam jana, Zainab ki beridaayi

Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2

Misl-e-Batool akse mehroom hu mei ab tak
Shabbir tere gham mei, maghmoom hu mei ab tak

Tarpa rahi hai mujhko, Abbas ki judaayi

Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2

Is aik saanhay par, aksar muhib ne socha
Barbaad ho gaya jab, aal-e-Nabi ka kumba

Baad-e-Hussain kyu kar, baaqi rahi khudaayi

Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2 (Tera Kafan na layi) x3

HomebookmarkmybayaazSetting