logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - miscellaneous - 2014

KHUN ME DUUBA, JALTI ZAMEEN PAR

KHUN ME DUBA, JALTI ZAMEEN PAR LASHAA E SARWAR PADA HUA HAI

DUBTA SURAJ, CHARKHE BAREEN PAR JAAM LAHU KA BANA HUA HAI



FAKHRE SHAHE DEEN KAT GAYA RAN ME, KAISA HUA ANDHER YE BAN ME

MEHRE IMAMAT AYAA GAHAN ME, HASHR KAHA AB RUKA HUA HAI.



ZAINAB E MUZTAR KA THA YE NAUHA, KAISA DIN KISMAT NE DIKHAYA,

AAHA JO KAL TAK BHARA HUA THA, AAJ WAHI GHAR LUTA HUA HAI



ROE NA KYU KAR BAALI SAKINA, KHAAYE TAMACHE CHIN GAYE GAUHAR,

SUJE HUE RUKHSAARO PE USKE, KHOON ABHI TAK JAMA HUA HAI



KOI NAHI YE SHIMR SE KEHTA, BAALI SAKINA KO NA DE IZZA

UTH GAYA SAR SE BAAP KA SAAYA, USKA BOHOT DIL DUKHA HUA HAI



RANN KO GAYA THA JO SHESH MAAH, TEER GALE PAR USNE BHI KHAAYA,

EK DUKHIYARI MAA KA KALEJA, NAAVAD SE GHAM SE CHIDA HUA HAI



ZAINAB NE DI HAI, SADA YE RANN ME, KOI NAHI NAASIR IS BANN ME,

KOI TO ROKE SHIMR LAEEN KO, DEKHO WO KHANJAR CHALA RAHA HAI



REHEM KISI KO USKAR PAR NA AAYA, CHEEN KE BISTAR LE GAYE AADA

HAAI MERA BEEMAR BHATIJA, GHASH ME ZAMEEN PAR PADA HUA HAI



RANN ME SARE SULTAAN E SHAHIDA, NOKE SINA PAR YU HAI NUMAYA

KHOON E GULUUE ASGAR E NAADAN, CHEHRE PE AB TAK MALA HUA HAI



UTH GAYE SAB ZAHRA KE DULARE, TASHNA JIGAR KAUSAR PAR SIDHAARE

KOI NAHI AB SAR PA HAMARE, HUMSE ZAMANA PHIRA HUA HAI



YAZIDIYAT KO JADH SE UKHAADA, DEENE NABI KO ISNE BACHAYA

TA QAYAMAT SULTAANE SHAHIDA, ZIBHAA HOKAR BHI FATHA HUA HAI

HomebookmarkmybayaazSetting