logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - miscellaneous - 2014

Shabihe payambar akbar

Haae ali akbar x4
Shabeeh e payambar akbar
Zibaah ba maidaan x2

1.Ye sibt e payambar ki laila ki kamaayi hai x2
Kya maadar e akbar ne takdeer ye paayi hai x2
Khaymo me bapa matam, x2
Ai mere jawa akbar
Zibaah ba maidaan

2.wo naazo ka paala hai atthaara baras waalaa x2
Zainab ka dulara hai atthara baras waalaa x2
Khaimo me bapa matam x2
Ai mere jawan akbar
Zibaah ba maidaan

3.Socha bhi na tha maa ne ye din kabhi aaega x2
Marne k liye akbar maidaaan me jaaega x2
Khaimo me bapa matam x2
Ai mere jawa akbar Zibaah ba maidaan

4.Khaaega kaleje par jis waqt sina akbar x2
Ye teri khabar sunke mar jaaegi maa akbar x2
Khai mo me bapa matam x2
Ai mere jawa akbar Zibaah ba maidaan

5.Jaata hai jo maqtal me wapas wo nahi aata x2
Taqdeer dikhaaye na akbar ka kahi laasha x2
Khaymo me bapa matam x2
Ai mere jawan akbar Zibaah ba maidaan

6.Akbar teri shaadi ka armaan tha khwahar ko x2
Poshaakh shaahani wo pehnaaye baradar ko x2
Khaimo me bapa matam x2
Ai mere jawan akbar, Zibaah ba maidaan

*7.Teere hai nakaahat hai aur sibt e payambar hai x2
Farzand ki mayyat hai aur sibt e payambr hai x2
Khaymo me bapa matam x2
Ai mere jawan akbr Zibaah ba maidaan

8.Phir kaun bachaega karti thi buka madar x2
Cheenenge laeen aake jab sar se mere chaadar x2
Khaymo me bapa matam x2
Ai mere jawa akbar Zibaah ba maidaan

9.Akbar ne dam e rukhsat jeene ki duaaen lee x2
Aur kaapte haatho se zainab ne balaaye lee x2
khaymo me bapa matam x2
Ai mere jawa akbar Zibaah ba maidaan

10.Beta na kisi ka yoo mar jaae jawaani me x2
Matam ki sadaaye hai darya ki rawaani me x2
khaymo me bapa matam x2
Ai mere jawa akbar Zibaah ba maidaan

11.zehra ki inayat hai padhta hai naqi nauha x2
Ham shakl e payambr ka shabbir ko hai pursa x2
Khaymo me bapa matam x2
Ai mere jawa akbar Zibaah ba maidaan

12.miljaaye jo akbar ki tehreer mujhe mehshar x2
Din raat padhu nauha ye khaakh pe sar rakhkar x2
Khaymo me bapa matam x2
Ai mere jawa akbar Zibaah ba maidaan

HomebookmarkmybayaazSetting