awaz de rahi hai maqtal me sayeda
Awaz de rahi hai ye maqtal me sayada
Zainab mere Husain ka sadqa utar dey
narghe me zalimo ke mera laal hai ghira
Zainab mere husain ka sadqa utaar dey
(1) Ashur ki ye shab hai seyahi liye hue
Daman me ek payame tabahi liye hue
Dar lag raha hai mujhko Beyaban me
bakhuda Zainab mere husain ka sadqa utar dey
(2) Allah meri god ke pale ki khair ho
Jangal me Teen roze ke pyase ki khair ho
Ghabra raha hai der se pahelu me dil mera
Zainab mere husain ka sadqa utaar dey
(3) pardes me batool ka beta ghareeb hai
Zainab mere husain ki halat ajeeb hai
Mabood kaisa waqt ye bekas pe apada
Zainab mere husain ka sadqa utaar dey
(4) Sadqa bala ki rad hai dukhe dil ka chain hai
Nau lakh zalimo me akela husain hai
Farma rahi hain beti se rokar ye Fatima
Zainab mere husain ka sadqa utaar dey
(5) Ye kaisi dushmani hai mere nure ain se
Takra rahi hai zulm ki had ab husain se
Sar katne pe shimre sitamgaar hai tula
Zainab mere husain ka sadqa utaar dey
(6) Parwaan jinko maine chadaya tha paal kar
Layi hun unko bhai ka sadqa nikaal kar
Beti ko huqm dijiye kariye na ilteja
Zainab mere husain ka sadqa utaar dey
(7) Zainab nibha ke farz subokdosh ho gayi
Mahfooz maa husain ki khamosh ho gayi
Khursheed fir na aayi Beyaba'n me ye sada
Zainab mere husain ka sadqa utaar de