Ay Fatima Sughra Ghar Lut Gaya Beta
Watan mei ehle haram ka jo kafela pahocha
Basheer karta tha sar apna peet ke nauha
Madine walo nabi ka ujad gaya kunba
Fakat hai mardo mei baki janabe zainul aba
Nabi ke roze pe wojh sabse pehle jayege
Vahi pe hale safar apna woh sunayenge
Madine walo ne jis dum suni yeh gum ki khabar
Bukao sina zani se bapa hua mehshaar
Asa sambhale huey ek bibi pit ti thi sar
Nabi ke roze pe jaati thi kehti hai padar
Aarey Karib nakoke pahochi jo fatema sughra
To usne nalao shewan mei apna naam suna
Aye fatema sughra ghar lot gaya beta x 2
Kya dhondti hai haal pareshan dulari
Baba ki tere aaiyi nahi firqe sawari
Bhayya ali akbar bhi tera aya na pyaari
Sau bar phuphi ho tei muzloomi pe wari
Mein deti ho pursa
Mei tujko sunati hu wh sab haal safar ka
Pardes mein kis tarha luta gulshane zehra
Sar nange gaya kis tarha bazar mein kunba
Darbare sitamgar ka aur qaid ka kissa
Sun aai mei dukhiya
Jis waqt hua barchi tokde dile akbar
Aankhon mein basharat na rahi shah ke dilbar
Laashon ko uthane gaye ishal mein sarwar
Girte the harek laash pe akbar ki samajhkar
Milta na tha laasha
Shabbir ne jab laasha e farzand ko paya
Khechi jo sina sath kaleja nikal aaya
Mayyat ko jawan bete ki phir jhukke uthaya
Lakar use maidan se khaime mein litaya
Ek hasr tha barpa
Tu dhondti hai jiski har ek god mein dilgir
Che mah le asgar ki nahi thi koi taqsir
Mara bine kahil ne tere bhai ko ek tir
Khoon muh se ugal kar hua be jaano besheer
Khali hua jula
Shaadi hui kasim ki magar ras na aayi
Ek raat suhagan rahi bewa huwi kubra
Pamal kiya zalimo ne dulhe ka laasha
Maqkat mein tane jane hasan bikhra pada tha
In ankhone dekha
Uf tashnagi bachcho ki jo pate teh nahi chain
Aati thi sadaey alatash aur kabhi bain
Jab hadse sheeva dekha jo atfal ko bechain
Pani gaya bharne pisare sayyede kunain
Mara gaya saqqa
Kamsim bhi the pyase bhi the woh dono dulare
Lekin jo gaye ladte woh darya ke kinare
Kuch gham nahi jo aun o muhammed gaye mare
Pehle hi the woh bhai ke sadke me uthare
Baad jiske aya aya karbobal mei hua mehshar
Shabbir ki gardan pe chala zulm ka khanjar
Khhaime bhi jalaye gaye aur chin gayi chadar
Na mehramoka majma tha aur the khole sar
Har lamha thi eza
Bachcho ke gale bazu hamare gaye bandhe
Kuch unt liye itne mein aada wahan aaye
Un nako pe bithlaya na tha jinke kajave
Thi gyarah moharram jo chale karbobala se
Din raat safar ka
Kis tarha sunao mein safar ka tuje ehwaal
Chehre ko chupaye hue the bibiyo ke baal
Is jabr tash shadat se safar ka tha bura haal
Kuch jism ke hisso se juda ho gayi thi khaal
Woh dekhengi beta
Sab bibiyon ke haath pashe pushte bandhe the
Mao ke bajae the pisar maao ko pakde
Rafta ki tezi se sambhal pae na bachche
Chausat mare masoom gaye nako se kuchle
Yeh taza alam tha
Darbar yazide mein gaye phir hame lekar
Bithlaye the woh kursi nasshi satsa lakar
Jakde hue rassi se the sab aur khule sar
Phut jata hai dil karti hu jab yaad woh manzar
Kya waqt kathin tha
Darbar se le jake rakha kaide sitam mei
Paya na sukan wahan bhi wafa huan gum mein
Ghut ghut ke sakina mari zindane sitam mein
Ek bar qayamat hui phir ehle haram mein
Lasha bhi na uththa
Zindan hi mein nanhi si kabr ek banayi
Dafna di khasad zabr wahan banu ki jaayi
Hum sabko diya zalimone hukme rehaayi
Markar bhi rehai na mayassar use aayi
Woh reh gaayi tanha
Zindan ke darwaze pe jab ayi amari
Sar pitke ye bono e nashaad pukari
Bar ayi tamannae dili aab teri pyaari
Uth chalo ghar jate hai aye dard ki maari
Shak hota tha sina
Ma dek rahi pitke sar apna duhai
Thi shor bahut bibiyo ke dil pe judaai
Lekin hui markadse sakina ke judaai
Phir shaam ke zindaan se sare karbala aayi
Phatta tha kaleja
Jab bibiyo ko ganje shaheeda nazar aaya
Nake se kareb bibi ne apne ko giraya
Nazro mein tha ashur ka manzar jo samaya
Bus dekhte hi muh se kaleja nikal aaya
Har labpe tha nauha
Sajjad ne dafnadiya jab lashe bahattar
Ansoro azizo ka kiya chehlome asgar
Abbas ka kasim ka chehlome akbar
Us alamme gurbat mein kiya chehlome sarwar
Kuch paas nahi tha
Sughra ne suni zainae muztar se ye rudad
Chera na raha zaptka gash ho gaayi nashaad
Us waqt anees ehle haram ne jo ki fariyad
Hosh apne gawa baitha waha jitne the aabad
Sab karte the nala
Aye fatema sughra ghar lut gaya beta