logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - nadeem sarwar - 1990

Zainab-e-Hazine Man

zainab-e-hazeenay man, khwahara khuda hafiz

man kay bi alamdaram, bay mueeno bay yaram

az hayaate bay zaaram, khwahara khuda hafiz

zainab-e-hazeenay man, khwahara khuda hafiz


ay meri bahan zainab ghar tere hawalay hai

jo laaeq-e-sajda hai sar uske hawalay hai

bas chalnay ko hai khanjar, khwahara khuda hafiz

zainab-e-hazeenay man....


maaray gaye saab behna, hum reh gaye ab tanha

is aalam-e-ghurbat may, mushkil hai mera jeena

maaray gaye sab dilbar, khwahara khuda hafiz

zainab-e-hazeenay man....


khanjar meri gardan par jab shimr chalayega

reh reh kay mujhe tera chehra nazar aayega

tu hogi barhaina sar, khwahara khuda hafiz

zainab-e-hazeenay man....


zindaan kay andheray may jab roye meri bachchi

dil joyi bahot karna us waqt behan uski

mar jaye na wo ghut kar, khwahara khuda hafiz

zainab-e-hazeenay man....


zindaan say riha hokar jab suye watan jaana

jo zulm huway hum par sughra ko wo batlaana

hum qatl huway kyun kar, khwahara khuda hafiz

zainab-e-hazeenay man....


kehna teri furqat may akbar bhi tadap ta tha

sota tha sar-e-maqtal jab khat tera aaya tha

seenay pe sina kha kar, khwahara khuda hafiz

zainab-e-hazeenay man....


har godh may dhoondegi sughra ali asghar ko

tum khud hi bata dena beemar ko muztar ko

nawaq laga gardan par, khwhara khuda hafiz

zainab-e-hazeenay man....


poochay jo sakina ko beemar meri dukhtar

batlana kay zindaan may wo margayi ro ro kar

wo zakhm bhi hai dil par, khwahara khuda hafiz

zainab-e-hazeenay man....


rehaan bahot royi zainab ye bayaan sun kar

kehnay lagi bhai kay sine pe wo sar rakh kar

dil dooba hai ye sun kar, khwahara khuda hafiz

maaray gaye saab behna, hum reh gaye ab tanha

is aalam-e-ghurbat may, mushkil hai mera jeena

maaray gaye sab dilbar, khwahara khuda hafiz

zainab-e-hazeenay man....

HomebookmarkmybayaazSetting