Na chaand taaray thay, na kehkshaan koi,
Haroof bhi na thay, na thi zubaa`n koi..
Tha esay aalam mein bhi mehar baa`n koi...
Khuda yea keh raha ho ga,,meray hawalay say jo tazkira ho ga...
Nabi nabi ho ga chaman chaman ho ga, kali kali ho ga
Habeeb mera hay libas e rehmat mein
Banai hay duniya issi ki chahat mein,,
Sana issi ki hay, kalaam e qudrat mein
Darood issi par hay meri ibaadat mein...
Jo sakhtiyaa jhelay, meri mohabbat mein,,
Shafee e mehshar bhi faqat yeahi ho ga...
Nabi nabi ho ga chaman chaman ho ga, kali kali ho ga
Woh meray bando ko mera pata day ga,,,
Woh bay saharo ko bhi aasra day ga...
Woh zakham khaey ga magar dua day ga..
Issi ka kunmba tau gala kata day ga..
Hussein sab apnay diyay bujha day ga...
Andhera jab phelay woh roshni ho ga...
Nabi nabi ho ga,
Chaman chaman ho ga, kalli kalli ho ga...
Nabi ka roza hay hamaray seeno mein,,
Haseen o yakta hay woh sab haseeno mein,,
Issi ka charcha hay falaq nasheeno mein,,
Jali hay naam iss ka sabhi saheefo mein,,
Likha hay naam iss ka sabhi safeeno mein,,
Ab ham ko toofan say na dar koi ho ga...
Nabi nabi ho ga,
Chaman chaman ho ga, kalli kalli ho ga...
Duaeyn kartay hain teray waseelay say
Mareez jitnay hain unhain shifa day day ga...
Nabi kay sadqay mein yea martaba day day,,
Yaqeen ki manzil ka tu raasta day day..
Nabi kay bachon ki tu khaak e paa day day
Kahan teray jaisa koi sakhi ho ga...
Nabi nabi ho ga,
Chaman chaman ho ga, kalli kalli ho ga...
Nabi nain maanga tha, khuda say ik naasir
Ali ki soorat mein hua hay woh zaahir,
Nabi nay jab chaaha ali huey haazir
Ali ki midhat say zabaan hay qaasir...
Ali sar e mimbar, salooni ka zaakir,,
Jahan nabi hon gay, wahan ali ho ga...
Nabi nabi ho ga, ali ali ho ga,
Chaman chaman ho ga, kalli kalli ho ga...
Ali ko bakhsha hay khuda nain kya rutba,,
Nabi sa bhai hay, batool si zoja,
Ali nazar aaya, ali ka har baita,,
Nabi ki hikmat ka ali hay darwaaza,
Na doosra haider, na doosra kaa`ba,
Na ho saka pehlay na ab kabhi ho ga...
Nabi nabi ho ga, ali ali ho ga,
Chaman chaman ho ga, kalli kalli ho ga...
Woh asr e ashura, ali ka ik baita,
Rasool thay jiss say, rasool say jo tha,,,
Tamaam lasho uthaata tha tanha,,
Jo zair e khanjar yea bayaan daita tha,,
Rahay ga deen abb tau hamaray naana ka,,
Zameen e maqtal par likha yeahi ho ga...
Nabi nabi ho ga, ali ali ho ga,
Chaman chaman ho ga, kalli kalli ho ga...
Ali kay kunmbay par sitam huey kya kya,,
Kahin jallay khemay, kahin utha parda,,,
Kahin kattay baazu, kahin chhilla seena,
Kissi ka maqtal mein bikhar gaya laasha,
Yea zulam daikha tau khuda pukaar utha,,
Hussein jo keh day sada wohi ho ga...
Nabi nabi ho ga, ali ali ho ga,
Chaman chaman ho ga, kalli kalli ho ga...
Khayal aata hay rehan aur sarwar,
Bala ki garmi mein, jab aik pyaasay parr,
Chala raha ho ga la`een jab khanjar,
Tarap rahi ho gi hussein ki khawahir,,
Sada magar ho gi hussein kay lab parr,
Nabi nabi ho ga, ali ali ho ga,
Chaman chaman ho ga, kalli kalli ho ga...