logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - nadeem sarwar - 2024

Wawaila

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Yabna Zehra Wawaila

Wawaila, Wawaila
Wawaila, Wawaila Wawaila, Wawaila
Wawaila, Wawaila Wawaila

Aal e Rasool
Wawaila, Wawaila Wawaila, Wawaila

Allah Ke Pyare Hain Zehra Ke Tare Hain
Kiun Ho Rahi Hai In Par Jor o Jafa, Wawaila

Karbala Main Pyase Hain Aal e Rasool, Wawaila

Wawaila, Wawaila
Wawaila, Wawaila Wawaila, Wawaila
Wawaila, Wawaila Wawaila

Karbobla Hai Khooni Fiza Hai
Kunba Nabi Ka Khoon Ro Raha Hai
Darya Ko Ghaire Foj e Jafa Hai
Or Kab Se Pyasi Aal e Aba, Wawaila
Karbala Main Pyase Hain Aal e Rasool, Wawaila
Allah Ke Pyare Hain Zehra Ke Tare Hain
Kiun Ho Rahi Hai In Par Jor o Jafa, Wawaila

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Kaisa Sama Hai Dil Ro Raha Hai
Kis Ke Liye Ye Maqtal Saja Hai
Wo Jo Nabi Ka Mah e Laka Hai
Us Par Hai Jari Jor o Jafa, Wawaila
Karbala Main Pyase Hain Aal e Rasool, Wawaila

Wawaila, Wawaila
Wawaila, Wawaila Wawaila, Wawaila
Wawaila, Wawaila Wawaila

Ik Din Main Ujra Ghar Fatima Ka
Hai Para Para Dil Mustafa Ka
Aaghaz Hai Ye Karbobla Ka
Arz o Sama Main Matam Bapa, Wawaila
Karbala Main Pyase Hain Aal e Rasool, Wawaila
Allah Ke Pyare Hain Zehra Ke Tare Hain
Kiun Ho Rahi Hai In Par Jor o Jafa, Wawaila

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Pyasi Sakina Mashqeeza Thame
Lipti Huwi Hai Apne Chacha Se
Masoom Bachi Noha Kuna Hai
Pani Le Aao Pyare Chacha, Wawaila
Karbala Main Pyase Hain Aal e Rasool, Wawaila

Wawaila, Wawaila
Wawaila, Wawaila Wawaila, Wawaila
Wawaila, Wawaila Wawaila

Naam e Khuda Par Deen e Khuda Par
Qurban Ho Ga Pyason Ka Lashkar
Aoun o Muhammad Abbas o Akbar
Qasim o Asghar Hon Ge Fida, Wawaila
Karbala Main Pyase Hain Aal e Rasool, Wawaila
Allah Ke Pyare Hain Zehra Ke Tare Hain
Kiun Ho Rahi Hai In Par Jor o Jafa, Wawaila

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Rooz e Ashora Mehshar Bapa Tha
Ik Din Main Sara Ghar Lut Gaya Tha
Mazloom Pyasa Tanha Khada Tha
Maqtal Main Zehra Ki Thi Sada, Wawaila
Karbala Main Pyase Hain Aal e Rasool, Wawaila

Wawaila, Wawaila
Wawaila, Wawaila Wawaila, Wawaila
Wawaila, Wawaila Wawaila

Yabna Zahra Wawaila

Haye Shaheed e Karbobla, Yabna Zahra Wawaila

Wawaila, Wawaila, Wawaila, Wawaila
Ya Ali
Haye, Haye, Haye, Haye, Haye, Haye, Haye, Haye

HomebookmarkmybayaazSetting