logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - nasir zaidi - 2019

nana teri zainab lut ke aa gayi hai

Nana teri Zainab (sa) lut kay aagai hai
Darbaron main bazaron main tere deen ki aan bacha gai hai

Yeh neel rasan kay shanon par,
Yeh khak e bala mere balon par
Nana meri hasti khak bana gai hai
Nana teri……………………………..

Halqe jo pade hai aankhon main
Khoon roti rahi hun rahoon main
Nana ab aankh meri pathra gai hai
Nana teri………………………………....

Yeh khoon kay cheente chadar par
Lipti thi main lashe Akbar (as) par
Nana Ik barchi dil mera kha gai hai
Nana teri……………………………….

Kanton peh kabhi angaron main
Main chal kay gaye bazaron main
Nana yun mujh peh zaeefi cha gai hai
Nana teri………………………………

Ik rassi main 12 thay gale
Bazu bhi pase gardan thay bandhe
Nana ummat yeh qamat dha gai hai
Nana teri……………………………………

Need aati thi na jis bachchi ko
Kahti thi phuphi ab ghar ko chalo
Nana zijdan ki zameen use bha gai hai
Nana teri………………………………

Do lal fida bhai peh kiye
Bhai peh rida bhi ki sadq e
Nana Zainab (sa) ki rida kaam aagai hai
Nana teri.................................................

HomebookmarkmybayaazSetting