logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - shahid baltistani - 2004

Muntazar Beythi

Muntazar beythi
(Ai mere babajaan) x2
Baba ko dhund kar roti hai sughra, (shamme jalaati hai) x2
(Shamme jalaaye) x4
(Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2
(Shaam hote hi jisse) x2 daste hai saaye baba(Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2Tere haathon ke nawaalon mei shifa paati thi, tere kaandhe pe rakhu
sar to sukoon paati thi, (chor kar aise gaye) x2 kuch nahi bhaaye baba(Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2Maine khwaabon mei faqat ranjo alam dekhe hai, larkharaate huwe
reyti par kadam dekhe hai, (jaane kya khwaab mujhe) x2 raaz bataaye baba(Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2Eid guzri hai meri kaisi bataaun kaise, door hun tujse bhala khushiyan manaun kaise, (peyrehen haae siyaha) x2 maine banaye baba(Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2Mere baba jo madine ko kabhi aawoge, saath chalte huwe in sabke mujhe paaoge, (aansuonse jo diye) x2 maine jalaaye baba(Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2Tere hujre mei teri khushbu nahi paati hun, dhund ne nana ke roze
par chali jaati hun, (tere hone ka yaqin) x2 sughra na paae baba(Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2Mei jawaani mei zaifi ki taraf jaati hun, chaand ki chaandni baalon
mei haaye paati hun, (aisa lagta hai ke din) x2 marne ke aaye baba(Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2Kyun chupaaya meri dadi ne ayaa hota hai, surkh mitti se yatimi ka ghumaa hota hai, (dadi Salma se kaho) x2 ab na chupaaye baba(Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2Ik kone mei hai sehre ki lari ukhri huwi, aur roze pe hai nana ke shamma bujti huwi, (saare "armaan" jale) x2 tum nahi aaye baba

(Shamme jalaaye) x2 Sughra ne kaise soch liya, (baba na aayenge) x2

HomebookmarkmybayaazSetting