Ghayrat ka khuda
(Ay alamdare hussain wa-abbasa) x2
Wa-abbasa, abbasa
Khayme ka parda hai utha, wa-abbasa
Kon chala suwe dariya, abbasa
Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
Aane ko hai qayamat, mehsoos ho raha haiWo ghar se yu(n) chala hai, dharti pe zalzala hai,Aada ka har sipahi ye kehke bhagta haiGhazi hai bawafa haiYe kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2Chehra ali ka chehra, khushbu ali ki khushbu,Sina ali ka sina, bazu ali ke bazuJis rukh se dekhte hai, tasveer-e-murtuza haiGhazi hai bawafa haiYe kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2Haa isne bachpane me, maa se sabak ye sikha,Shabbir ki ghulami, sab se bara hai rutba,Ye sher is sabak ko dohraye jaa raha haiGhazi hai bawafa haiYe kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2Haider he isme azam, har dard ki dawa haiQuran kehraha hai, ye naam ik dua haiGhazi hai naam jiska haider ki wo dua haiGhazi hai bawafa hai, abbasa,Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2Izne vhigha nahi hai, hasrat hai bas vhigha kiTalwar sheh ne rakhli, qismat hai ashkiya kiMashkiza bazuwo(n) ke badle bacha raha haiGhazi hai bawafa haiYe kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2Tashna labi ka alam, mojo pe gara parcham,Kabze me leke paani, lab ko nahi kiya namDariya se pyaas bharke, wapas jo aaraha haiGhazi hai bawafa hai, abbasaYe kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2Duba huwa lahu me, parcham jo aa raha hai,Pyaaso(n) ka farte gham se, dil ddubne laga haiBoli sakina tthero, paani wo laa raha haiGhazi hai bawafa haiYe kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2Bazu to katt chuke hai, mashkiza chid gaya haiKya ghar ko jaye ghazi, ghayrat ka marhala hai,Haye tashnalab ka chehra nazro me ghumta haiGhazi hai bawafa haiYe kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2"Rehan" gham se ttuti, shabbir ki kamar hai,
Abbase bawafa ka, duniya se ab safar hai,
Lekin lahu se apne, wo likh ke jaa raha hai
Ghazi hai bawafa hai, abbasa, abbasa