Royegi Maa Aun O Muhammad
Haye Jab Ahl e Haram Qaid Se Yasrab Pohnchay
Larkharaty Howy Zainab Ne Qadam Ghar Main Rakhay
Maa Ne Jab Aun o Muhammad Kay Musally Dekhay
Sabar Phir Toot Gaya Bolain Yay Zainab Rokay
Aje Jee Bhar Kay Tmhain Royegi Maa Aun o Muhammad
Aye Mery Dil Ka Sokon Aye Meri Jan Aun o Muhammad
1) Jab Se Bhai Pe Tmhain Sadqa Kya Zainab Ne
Phir Tmhara Kbhe Pursa Na Leya Zainab Ne
Sabar Ab Hoga Nahi Mujh Se Yahn Aun o Muhammad
2) Khud Ko Us Waqt Sambhala Tha Bari Mushkil Se
Kesy Bheja Tha Tmhain Pocho Yay Mery Dil Se
Tum Thy Is Maa Kay Leyay Dono Jahan Aun o Muhammad
3) Sath Jin Bachon Kay In Galiyoun Main Tum Kheltay Thy
Hain Kahn Aun o Muhammad Wo Yay Jab Pochaingy
Kya Batayegi Yay Maa Tum Ho Kahn Aun o Muhammad
4) Maa Ke Mamta Ka Bara Maan Rakha Hai Tum Ne
Nehar Per Jakay Bhe Pani Na Peya Hai Tum Ne
Krdeya Qatal Tmhain Tishna Dahan Aun o Muhammad
5) Bhai Ke Lash Pe Jaty Howy Dekha Main Ne
Haye Qasim Ke Tarha Dasht Main Tum Bikhray Thy
Main Tmhary Wo Badan Bholi Kahn Aun o Muhammad
6) Bas Yay Main Janti Hoon Kesy Wahan Sabar Keya
Dekh Kar Naizon Pe Jis Ghari Laila Ne Kaha
Tum Kahan Aur Kahan Nok e Sina Aun o Muhammad
7) Jesy Gustakhi Wo Kartay Thy Sar e Asghar Se
Shaam Kay Bachon Ne Khela Hai Tmhary Sir Se
Thokarain Mari Gaye Tum ko Wahan Aun o Muhammad
8) Haye Zeeshan o Raza Bolain Yay Zainab Rokar
Do He Betay Thay Jo Qurban Keyay Bhai Per
Kehny Wala Na Raha Ab Koi Maa Aun o Muhammad