AGAYA BAZAAR E SHAAM
Aagya bazar shaam aagya bazar shaam
(Sani)
Ghazi ki paak bahno ka leta hai shimr naam
(Antra)
1)Shaam shaher me amad hai ahle haram ki logo
Amad pe shami karte hai pattharo ka intezam
(2)
Ek rasan me 12 gale karbal se sham kaise chale
Zahra ki betiyon ko nhi ek pal mila Aram
3) sar pe nahi zainab ke rida majma sharabio ka or
Akbar ke qatilo se hai karna usey kalam
4) sham me or karbal me sitam itne hue ke ab tak
Ghaibat me khoon rota h mera 12wa imam
5) Jisko khule sar suraj ne dekha nahi tha pehle
Dekhegi usko be parda haye shaam ki awaam
6) Zain jahan zakhmi zainab ka kul sarmaya tha
Apna lahu bahane ko tu bhi chala jaa shaam