Aza e Fatima Zehra
Vo darbare sitam ki dasta'n baba suno
Sab apni laadli ka imteha'n baba suno
1.
Ye kalma go masayab dha rhe the
Mujhe darbar mai jhutla rhe the
Lagin jo dil pe mere barchiya'n baba suno
2.
Tumahre baad baba ho gyi had
Gawahi mere bachcho'n ki hui rad
Dil e Muztar ki ye betabiya'n baba suno
3.
Tumahre baad haq cheena gya h
Mujhe her lamha Tadpaya gya h
Huie'n kya mere Uper sakhtiya'n baba suno
4.
Sanad ko padh kr phaika gya tha
Teri Tehreer ko rounda gya tha
Gira tha ghum ka mujpr aasma'n baba suno
5.
Teri Tehreer bikhri thi zami'n per
Utha skti na thi baba mai jhuk ker
Meri tuti hui thi pasliya'n baba suno
6.
Pidar salman o Buzar ro diye the
Meri ghurbat pe haider ro diye the
Sitamgar ne vo ki ghustakhiya'n baba suno
7.
Mai jab darbar se lauti hu'n baba
Batau'n kaise ke mera haal kya tha
Bandhi thi'n rote rote hichkiya'n baba suno
8.
Ayaz e dil hazi'n k muh se sunker
Janabe fatima k bain Asgher
Imam e waqt hai'n Noha kuna'n baba suno