Akhri baar ziyarat krlo
Koi kehta tha ye Kulsoom se hai hai ro kar
Aakhri baar ziyaarat kar lo
Ghar se jaate hain sooye Masjid-e-Kufa Haider
Aakhri baar ziyaarat kar lo
Aane waali hai yateemi ki ghadi uth jao
Sar pe Baba ke shahadat hai khadi uth jao
Dekho daaman se ulajhne lagi zanjeer-e-dar
Aakhri baar ziyaarat kar lo...
Thartharaate hain sitaare aur falak rota hai
Gham mein Haider ke har ek jinn-o-malak rota hai
Haaye murgha bayaaan kehti hain yahi ro ro kar
Aakhri baar ziyaarat kar lo...
Rok lo rok lo doobega saraapa khoon mein
Surkh ho jayega ye chaand sa chehra khoon mein
Ibn-e-Muljim ki abhi tegh chalegi sar par
Aakhri baar ziyaarat kar lo...
Phir na is chaand se chehre ki ziyaarat hogi
Kuch hi lamhon mein bapa aisi qayaamat hogi
Saari duniya abhi ho jayegi bas zeero zabar
Aakhri baar ziyaarat kar lo...
Masjid-e-Kufa mein hogi woh shahadat Bibi
Phir milegi na kabhi baap ki ulfat Bibi
Ab kabhi laut ke aayenge na ghar mein Haider
Aakhri baar ziyaarat kar lo...
Aayi ikkiswi ki subah qayaamat Ainee
Ho gayi Maula ki masjid mein shahadat Ainee
De ke Baba ko kafan behnon se bole Shabbir
Aakhri baar ziyaarat kar lo...